Friday, November 27, 2009

Awaazein

Dum lu bhi toh kaise,
Khwabo mein aana ab tumhe manzoor nahi.
Tumahri aawazo ki sui si chubhan zinda rakhti hai mujhe.
Bechani meri suhagan hai,
Sukoon meri vidhwa.

Haqeqat se jannat ki dooriyon ko
Zindagi kaha karte the kabhi.
Unki aawaz ki gaaliche main let kar
Sadiyaan paar kar lete the kabhi.

Bachpan mein khilono ke tootne se
Hum ro liya karte the kabhi
Ab khilone tootte hai bhi toh kya?
Bahano ke bazaar se waqt milta hi nahi.

Rok nahi sakta mann ke darwazon se
Beete waqt ki roshni ko, magar.
Aaj aur kal ke ek room ke flat mein
Andhera kayam rehta hai abhi.

Bhool jau bhi toh kaise,
Zindagi ka sweater chota lagta hai abhi.
Tumhari awaazo ki rui se dabkar
Neend aa jati hai kabhi.


By: NovoneeL ChakrabortY