Tanhai ke suitcase mein,
Naye-purane zakhmon ko sametkar,
Lamhon ke khirki-darwaze band kar,
Jana Hai.
Mazhab kai hai, Bhagwan wahi.
Dard kai hai, Dil wahi.
Judai ki bus le kar, main,
Pauchunga pachtave ke stop par.
Umeed ke har store band honge aaj.
Rishton ke shahar mein curfew jo hain.
Waqt ke purse mein,
Galtiyon kay photo chupaye nahi chupte.
Mohabbat currency note hain,
Zamane ke theatre mein ghuste hi kharch ho jate hain.
Badan ke zoo mein,
Naraazgi ke kai jaanwar qaid hai, ab bhi.
Afsos ke kapdon se dhakkar, magar,
Jana hai.
Mijaz kayi hai, Mausam wahi.
Bahane kayi hai, khichav wahi.
By: NovoneeL ChakrabortY