Friday, November 27, 2009
Awaazein
Khwabo mein aana ab tumhe manzoor nahi.
Tumahri aawazo ki sui si chubhan zinda rakhti hai mujhe.
Bechani meri suhagan hai,
Sukoon meri vidhwa.
Haqeqat se jannat ki dooriyon ko
Zindagi kaha karte the kabhi.
Unki aawaz ki gaaliche main let kar
Sadiyaan paar kar lete the kabhi.
Bachpan mein khilono ke tootne se
Hum ro liya karte the kabhi
Ab khilone tootte hai bhi toh kya?
Bahano ke bazaar se waqt milta hi nahi.
Rok nahi sakta mann ke darwazon se
Beete waqt ki roshni ko, magar.
Aaj aur kal ke ek room ke flat mein
Andhera kayam rehta hai abhi.
Bhool jau bhi toh kaise,
Zindagi ka sweater chota lagta hai abhi.
Tumhari awaazo ki rui se dabkar
Neend aa jati hai kabhi.
By: NovoneeL ChakrabortY
Wednesday, October 14, 2009
Mobile Phone
I think there is a latent lesson in relationship here. And the more I thought about it the more the answers to what makes a relationship click or bleak grew on me.
Thursday, October 8, 2009
Fault
A young boy, walking – quite rightly – on the footpath was transformed into pulp in a matter of seconds by a car driven by an alcoholic out-of-control rich brat.
It was a normal newspaper report I came across recently. This boy paid the price because someone else was drunk driving.
When I lay on bed that night I thought how many times it has happened to me. I did things the way they should have been done and yet paid the price because some alcoholic out-of-control brat (God?) rammed his car (destiny??) onto me squashing my hopes and will into pulp. I mean what else the boy could have done if not walk on the footpath?
And the question – whose fault was it – continues to remain unanswered in my mind.
By: NovoneeL ChakrabortY
Tuesday, September 29, 2009
Yun Hi...
Bheed-Bhaad ke pahado mein,
Khamoshi ban ke ghoomta hoon.
Takrata hoon beetein palon se,
Aur,
Ek gehri saans ban ke barasta hoon.
Samjhote ki mitti se,
Jahan Dafan hai laashe;
Uski, meri aur humari…
Tanhai se mulakaat hoti hain, aksar.
Hum bhaitte hain ghanto
Aur,
Dard ka shagun baatte hain.
Haseen shabdo ke beech,
Jahan chippi hai kayi
Uski, meri aur humari.
Jab waqt fizool nikalta hai,
Tum mujhe sulana chahti ho?
Aur jab wohi waqt ek barf ban jata hai,
Tum mujhe rulana chahti ho?
Ek kharab si lift ban ke rah
Na upar jane ki taakat baki hai,
Aur,
Na neeche jane ka koi maksad.
Har kone mein jiske giraft hai,
Intezaar ki ek Mahek;
Uski, meri aur humari.
By: NovoneeL ChakrabortY
Thursday, September 3, 2009
Yaad Aayen
Zindagi ek gale ki kharash,
Aur tum, adrak ki chai.
Bukhaar ke dino main,
Mathe par bheege rumal ka rakhna...
Jeena jaise ghanton ki bhuk,
Aur tum, ma ke haath ka khana.
Umeed ek chori ka samaan,
Aur tum, Diwali ki mithai.
School ke dino main,
Har din hajri dene ka mazhab...
Honsla ek ad-jali si mombatti,
Aur tum, sukoon ki neend.
Pareshaani ek daravni si parchayi,
Aur tum, shaadi ki shennai.
Ruksat ke dino main,
Gehri neend se achanak jag uthna...
Mann ek thaka hua musafir,
Aur tum, hawai jahaz ka udna.
Maut shaam ki ek local train,
Aur tum, baagiche main khelte bachche.
Mulaqat ke dino main,
Waqt ka bewajah fanaa hona...
Main sirf ek guzarta hua lamha,
Aur tum…barso ki yaari.
Tuesday, September 1, 2009
Thank You !!!
Saturday, August 22, 2009
Hum Bichchre The
Aankhen kholta hoon, duniya ban ke chidhati ho.
Saans chodhta hoon, behoshi ban ke chah jati ho;
Saans leta hoon, zevar ban ke zindagi ki bahon ko sajati ho.
Yaadein saap ban ke lipti hain...
Pairon par, kamar par, haatho main aur wahan...
Jahan koi zaher asar nahi karta.
Shayad maut bhi nahi.
Dard Ganga naha chuka hai.
Dil Namaz padh chuka hai.
Sawaal ka jawaab sawaal se kyon deti ho?
Intezaar bhi toh pyar ka ek saya hain.
Khule main sota hoon, kabhi toh falak se nunhe-munhe khat ban ke barsogi.
Un Khaton se bheeg kar dooriyaan mitengi toh nahi
Lekin,
Sapno ke tikhe sharbat main beetein mithein din zarur ghul jayenge.
By: NovoneeL ChakrabortY